Thursday 4 August 2016

Jindgi hai Adhuri

Mai ek ajnabi saher mai hunu. Mera dost mujhe pukarta hai "chal yaar aj market hokar aate hane".
Me:-OK
Hum dono ghumte huai market panuchae. Tabhi meri nazar kuch radei walo par padi. Jin par likha hua tha 'pani puri center' . mai kuch samaye kai liye unki taraf hi dekh RHA tha . yeh mat samajhi ki meri pani puri khane ki icha thi. Darsal baat yeh thi ki mera dost kuch jaruri saman lene mai vast tha. Tabhi mujhe kuch chote-chote bache Jo shyad 10-12 saal kai honge dekhi diye . Jo ki pani puri ki radi kai Charo or bhaag rahe Thai . yeh pani puri khane kai liye nhi balki pani puri bachane wale Thai. Koi coustmer na hone kai karne khel rhae thae.

Aachnak mai chounk gya jab meri nazar pani puri centers kai piche khadi building par gyi WO gate kai samne think samne apna karobar chala rhae thae yeh building koi or nhi government school ki building thi.

Mai soch mai pad gaya ki govrment nai 14 saal sai kam umar kai bacho kai liye compulsory school ka niyam bna rakha hai. Phir bhi government school kai samne yeh sab kuch ho RHA hai. Kya WO teacher Jo hame itna kuch sikhte hane khud anpadh hai Jo sab kuch dekhkar bhi aanjano ki tarah boss bane ghum rahe hane . aisa gyan kis liye Jo kisi kaam ka na ho?
Mane soch kynu na mai hi iske khilaf appeal karnu. Par achank ruk gya mene socha shyad mere is appeal kai baad un bacho ko khana bhi nasib na ho . government par bhorosha karna mere liye but muskil hai.

Dosto ap hi bato mai kya karnu?

Please help others and be happy in your life.

Ek kahani aisi bhi

AJ bhut germi hai para 45°-50°c tak ho chuka hai . sadak par jayada chel-pahel nhi hai. Ha par kuch rickshaw wale dikhai dai rahne hane .
Rickshaw wala-golden plaza? Sirf 30rs. Bhai saheb.
Tabhi ek iPhone dhari ladka apni beautiful girlfriend kai sath wahna panuchta hai . pichli baar January mai to 20rs. Thai . thik hai saheb 25rs dai dena. Girlfriend muskhrati hai jase 5rs nhi 5crore bacha liye hono.
Ladka akad kai sath rickshaw par baith ta hai.
Golden plaza panuchne par ladaki KFC ki taraf ishara karti hai. Dono KFC mai cold kofee pite hand. Or KFC wale ko sath mai 50rs tip . ladaki man hi man ladke ki udarta par khush hoti hai.

Sach mai hamara nazriya kitna badal gaya hai. Jo 50°c mai bhi hame hamari manzil par punchta hai usse rupess na Dakar saving mante hane or ac mai baithe KFC, pizza'hut ko tip Dakar khud ko mahan samajhte hane...


Dosto chalo aaj coca cola ki jagah taad ka juice pite hane . KFC ki jagah satu wale sai milte hane. Shyad WO 5rs nhi bachte to rickshwa wala apni beti ko chocolate khila sakta tha . jisse WO choti bachi khushiyan paa sakti . shyad koi school ja pata. Shyad koi 2 time ka khana kha Sakta. 


Khushiyan kuch pane mai nhi balki batane sai badhti hane...

Money v/s Hapiness

Sir ek cup dudh milega?
6 mahine kai bache ki ma nai 3 star hotel manager sai pucha...

Manager:-ha! 100 rs. Mai milega.
"Thik hai dai do" aurat nai kha Jo picnic kai doran hotel mai ruki thi.
Subah jab gadi mai ja rahe Thai. To bache ko phir bhukh lagi, gadi ko tuti jophadi wali purani si tea stall par roka.
Bache ko dudh pila kar shant kar diya.

Dudh kai paise puchne par dukan malik bola - beti ham bache kai dudh kai paise nhi late. Yadi rashte kai liye chahi to lati jao.
Bache ki ma kai dimag mai ek sawal ghum raha tha ki 'amir kon WO 3 star hotel wala manager ya tuti si jhopdhi mai betha WO budha aadmi'.


Mili thi jindgi kisi kai kaam aane kai liye,
Par wakt bit raha hai kagaz kai tukade kamne kai liye,
Kya karoge itna paisa kamakar ,
'Na kafan mai jab hai na kabr mai almari'
Or yeh mout kai frishtai rishwat bhi nhi late....

Wednesday 3 August 2016

Khushi Kai Pal

Jindgi ek paheli


Jindgi hai paheli mai samajh na panu,
        Har pal yehi geet gunguna aanu,
Hansi kabhi aansu yeah samajh na panu,
Kabhi dil bole kabhi dimag ,
         Kis ki manu yeh sochta reh janu
Khushi bina jindgi adhuri yeh sab ko batnu...